Thursday, July 16, 2009
Mohabbat hai
Thartharati Absharoon main bichi thandi hawa sahna
shaboon main goonjti beychainion key darmian rahna
har ik mausam ko apnay andaroni mausamoon ki zad main lay ana
kabhi..mil kay kisi say
bekhabar ahday samander tak safar karna
kabhi..tanha kisi sahil pey a kay dair tak lahroon ko ginana
aur khalaaa main daikhtay rahna
mohabbat hai..
kisi khoay hoa ko ghair iradi taur per
har ajnabi chahray main aksar dhondtay rahna
hamaysha bekhiyali main
kitaboon..chandtaroon..badaloon per
us kay baray main jhil milati baat likh dayna
yah ... phir likh kar mita dayna
kabhi rangoon ki lahroon per
usay beymaut hontoon say sada dayna
sada ki bazgashat aur goonj main dhal kar
khalaoon main tahaydaman palattay daikhna
aur
phir sada dayna
Mohabbat hai...
main kia likhoon...
kabhi aisa bhi hota hai
buhat hi rooth kar naraz ho kar
napasandida khiyaloon,nafratoon ki ooot say..
yah mukhtalif haylay bahanoon say
kisi ko jhanktay rahna
kisi ko sochtay rahna
woh manay yah na manay..
bass usay likhna ...
usay kahna...
mohabbat hai!!!!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment